PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 5

๐Ÿ”ถ      ๏ทฝ      ๐Ÿ”ถ
๐Ÿ’    (0473)     ๐Ÿ’
๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ
08- R.Awwal - 1438
08-December-2016
๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ
๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ
๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’
(Sallallahu alaihi wa sallam)
๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ
๐ŸŒปMsg-no-05๐ŸŒป
๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ
Bala'aakhir unhon ne shohar se mashwarah karney ke baad Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko parvarish ke liye qubul kar liya
uusi waqt se uun ki aankhein Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki wajah se be'panaah barkaton ka mushahida karney lagi
wo kamzor sawaari jo aatey waqt baar baar qafiley se pichhey reh jati thi
Ab sab se aagey itni teiz raftaari se chal rahi thi ke qafiley walon ko kehna padta ke
Haleema !
zara aahista chalo.
Aur ghar pahoch kar bhi barkaton ka mushahida honey laga
ke bakri ka than (เคฅเคจ) faaqey ki wajah se khushk ho gaya tha wo dudh se bhar gaya
Chunanchey uunhoney aur uun ke shohar ne peit bhar kar piya
iss ke baad Hazrat Haleema rozana Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki wajah se barkaton ko deikhti rehti thi
Sakht qahatsaali ke iss dowr me bhi uun ke ghar me itni khush'haali thi ke qabiley waley hairaan the
aur har shakhs apney charwaahey ko ye taakid karta ke uusi jangal me apney jaanwaron ko bhi charaao jahaan Haleema ki bakriyan charti he.
๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น
ISLAMI TARIKH
๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
โ™ฆ๐ŸŒทโ™ฆ
(175)

Comments