PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 6
🔶 ﷽ 🔶
💐 (0474) 💐
💌💌💌💌💌
09- R.Awwal - 1438
09-December-2016
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝 NABI. 💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-no-06🌻
💌💌💌💌💌
Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ki paidaish se pehley hi waalid maajid Abdullah ka Madinah me intiqaal ho gaya tha,
Aur Aap Sallallahu alaihi wa sallam yateemi ki haalat me paida huey,
Jab umar mubarak 6 saal ki hui toa waalidah Aamenah aap ko lekar apney rishtedaron se milney Madinah Munawwrah chali gaee,
Waapasi me maqaam Abwa par bimar hui
aur waheen intiqaal farma gaee,
Ab Aap Sallallahu alaihi wa sallam apni mahboob Maa ki shafaqqat w muhabbat se mahroom ho gaey,
iss ke baad dada Abdul Muttalib ki shafaqqat me Paley badey,
Wo Aap ko dil w jaan se ziyadah chahtey the
Kisi waqt bhi Aap se ghaafil nahi rehtey,
Aur Kaaba ke saaye me apney sath bithatey the,
Jab ke khandan me se kisi aur ko uun ke sath beithney ki himmat nahi hoti thi,
Magar 2 saal baad sirf 8 saal ki umar me Aap ke dada Abdul Muttalib bhi duniya se chal basey,
iss tarah yateem Muhammad bin Abdullah ke sar se mushaffiq dada ka saya bhi uuth gaya,
Goya Allah T'aala ne duniya ki tarbiyat w parvarish ke saarey asbaab ko khatm kar ke khud apni khususi rahmat ke tahat Aap ki tarbiyat w nigrani ka intizaam farmaya.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(177)
Comments
Post a Comment