PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 3
🔶 ﷽ 🔶
💐 (0470) 💐
💌💌💌💌💌
05- R.Awwal - 1438
05-December-2016
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝 NABI. 💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-no-03🌻
💌💌💌💌💌
Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam Arab ke baa'izzat qabilah Qureish ke khandan Bani Hashim me paida huey
Khud Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaya;
Allah T'aala ne Ismaeel ki nasal me se 'kinaanah' (khandan) ko mumtaz banaya
aur kinaanah me se Qureish ko izzat ataa farmaai
aur Qureish me Bani Hashim ko imtiyaz bakhsha
aur Bani Hashim me se mujhey muntakhab farmaya.
(Muslim-5938)
Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki waalidah Bibi Aamenah khandan e Banu Zahrah ki moazziz khatun thi
Paidaish ke baad Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko Sobiya ne dudh pilaya
Arab ke shurfa ka dastoor tha ke bachchon ko parvarish ke liye deihaat ki aurton ke hawaaley kartey the
Taaki wahaan ki saaf w shaffaf hawa ki wajah se bachchey sahatmand aur tandrust rahey
isee dastoor ke muwafiq Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko dada Abdul Muttalib ne Hawaazin ke qabiley Bani s'aad ki eik shareefa khatun Hazrat Haleema s'aadiyah ke supurd kiya
unhon ne 4 ya 5 saal tak Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki parvarish farmaai
Saal me do martaba Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko Makkah laa kar waalidah Aamenah aur dada Abdul Muttalib ko dikha jaati thi.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(173)
Comments
Post a Comment