PYAREY NABI (Sallallahu alaihi wa sallam) Part 20
🔶 ﷽ 🔶
💐 (0488) 💐
💌💌💌💌💌
23- R.Awwal - 1438
23-December-2016
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝 NABI. 💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-20🌻
💌💌💌💌💌
Hazrat Khadija (rd.) ne Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko tasalli di aur kaha:
Aap neki kartey hai,
Sadqa detey hai,
Zarurat'mandonko khana khilatey hai Allah T'aala Aap ko hargiz zaaya nahi karega.
Phir Hazrat Khadija Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko apney chachazaad bhai warqah bin Nawfal ke paas le gaee,
Wo Towraat w injeel ke badey aalim the,
uun se saara waaqia bayaan kiya,
uunho ne kaha ke
Khadija !
Ye toa wohi farishta he jo Hazrat Moosa (a.s.) ke paas aaya karta tha,
Aur ye iss ummat ke Nabi he.
Kaash !
Mai uus waqt tak zindah rahun jab qoum inko nikaal degi taki mai inki madad karun.
Huzur sallallahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaya:
Kya meri qoum mujhey Makkah se nikaal degi ?
Warqah bin Nawfal ne kaha:
Haan !
Jo bhi Nabi aaein hai
uun ke sath qoum ne isee tarah ka muaamla kiya he.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(195)
Comments
Post a Comment