PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 49

🔶      ﷽      🔶
💐    (0517)     💐
💌💌💌💌💌
22-R.Aakhar-1438
21- January -2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝   NABI.   💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-49🌻
💌💌💌💌💌
Uqbah Meena ke qareeb eik ghaati ka naam he.
Jahaan san 11 Nabwi me Madinah se 6 afraad ne aa kar Deen e islam qubul kiya tha,
uus ke dusrey saal san 12 Nabwi me 12 afraad Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam se mulaqat aur bei'at honey ke liye aaey,
Aur Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke mubarak hath par chori, zina aur aulaad ko qatl karney se bachney aur achchhi baaton me Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki ita'at w pervi karney aur eik Allah ki ibaadat karney par bei'at ki.
isko 'Bei'at e Uqbah oola' kaha jata he.
Jab inn logon ne Waapasi ka iradah kiya toa Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne Mus'eib bin Omeir (rd.) ko Quraan Majid padhaaney,
islam ki taalim deney aur Deeni masaail bataaney ke liye uun logon ke sath rawaana kiya.
Madinah pahuch kar wo logon ko islam ki daawat deitey,
aur musalmano ko Namaaz bhi padhaatey the,
uun ko Madinah ke log Al Muqri (padhaaney wala ustaad) kaha kartey the,
uun hi ki daawat se Sa'ad bin Muaaz aur Aseed bin Hadeer jaisey sardaron ne islam qubul kiya tha.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(227)

Comments