PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 57

🔶      ﷽      🔶
💐    (0525)     💐
💌💌💌💌💌
30-R.Aakhar-1438
29- January -2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝   NABI.   💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-57🌻
💌💌💌💌💌
Aur har taraf se dushmano ka khouf tha.
Magar islam ki khaatir imamul Ambiya tamaam musibaton ko jheltey (झेलते) huey aagey badh rahey the.
Raastey me Hazrat Abu Bakr (rd.) kabhi aagey aagey chaltey aur kabhi pichhey pichhey chalney lagtey the,
Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ne iski wajah puchhi toa unhon ne kaha:
Ya Rasulallah !
Jab mujhey pichhey se kisi ke aaney ka khyaal hota he toa mai Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke pichhey chalney lagta hun,
Aur jab aagey se kisi ke aaney ka khatrah mehsoos karta hun toa aagey chalney lagta hun,
Chukey kuffar ki mukhalifat ka zor tha aur wo log (नआऊज़ुबिल्लाह) Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke qatl ki koshish me the,
isliye raastey me Aap Sallallahu alaihi wa sallam aur Hazrat Abu Bakr (rd.) ne Ghaar e Sorr (गारे सौर) me panaah li,
iss ghaar (गार) me pehley Hazrat Abu Bakr (rd.) dakhil huey,
Aur uus ko saaf kiya,
Phir Huzur Sallallahu alaihi wa sallam uus me dakhil huey,
Aur teen roz isee ghaar me rahey.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(235)

Comments