PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 39

🔶      ﷽      🔶
💐    (0507)     💐
💌💌💌💌💌
12-R.Aakhar-1438
11- January -2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝   NABI.   💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-39🌻
💌💌💌💌💌
Abhi chacha ke intiqaal ka gham (ग़म) halka na huwa tha ke iss ke kuchh hi dino ke baad Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki jaanisaar aur gamkhwaar biwi Hazrat Khadija (rd.) bhi iss duniya se chal basee,
istarah yakkey baad digrey dono ke intiqaal kar jaaney se Aap Sallallahu alaihi wa sallam par ranj w gham aur musibat ka eik pahaad toot pada,
Kyun ki Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki daawat w tabligh ke har har marhaley par Abu Taalib aur Hazrat Khadija (rd.) dono Aap Sallallahu alaihi wa sallam ka sath diya kartey the,
Aur Hazrat Khadija (rd.) toa hamesha Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki madad karti thi aur pareshani ke waqt behtareen mashwarah diya karti thi,
isliye dono ka eik sath me intiqaal kar jaana Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke liye eik bada haadsa tha,
isee wajah se Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne iss saal ka naam
AAMUL HUZN
yaani gham ka saal rakha.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(215)

Comments