PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 42
🔶 ﷽ 🔶
💐 (0510) 💐
💌💌💌💌💌
15-R.Aakhar-1438
14- January -2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝 NABI. 💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-42🌻
💌💌💌💌💌
Aur Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ne baargah e ilaahi me arz kiya:
Ya Allah !
Agar tu mujh se naraz nahi he toa mujhey kisi ki parwah nahi,
Tu merey liye kaafi he.
iss mouqey par Allah T'aala ne pahaadon ke farishtey ko Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke paas bheja aur uus ne Aap Sallallahu alaihi wa sallam se iski ijaazat chahi ke wo inn dono pahaadon ko mila de Jin ke darmiyaan Taif shahar aabaad he,
Taaki wo log kuchal kar halaak ho jaey
Magar Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ki raheem w kareem zaat ne jawaab diya:
Mujhey ummid he ke inki aulaad me se aisey log paida hongey,
Jo eik Allah ki ibaadat karengey,
Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ki iss duaa ka asar tha ke Muhammad bin Qasim jaisey bahadur nowjawaan Taif ke qabilah Bani Saqeef me paida huey,
Jin ke haathon Allah T'aala ne Hindustan tak islam ko pahuchaya.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(219)
Comments
Post a Comment