PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 58
🔶 ﷽ 🔶
💐 (0526) 💐
💌💌💌💌💌
01-J.Awwal-1438
30- January -2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝 NABI. 💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-58🌻
💌💌💌💌💌
Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam aur Hazrat Abu Bakr (rd.) dono Makkah chhod kar ghaar e Sorr (गारे सौर) me pahuch chukey the,
idhar mushrikin ne pichha karna shuru kiya,
Aur talaash kartey huey ghaar e sorr ke bilkul munh ke qareeb pahuch gaey,
iss waqt Hazrat Abu Bakr (rd.) ne kaha:
Ya Rasulallah !
inn me se kisi ne eik qadam bhi aagey badhaya toa hamein deikh lega,
Rasulullah sallallahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaya:
Ghabhrao nahi,
Allah hamaarey sath he,
Allah T'aala ne dono Hazraat ki apni qudrat se hifaazat farmaai aur mushrikin waapas ho gaey.
Hazrat Abu Bakr (rd.) ne apney betey Abdullah se ye keh diya tha ke wo mushriko ke darmiyaan honey waali baatein raat ke waqt aa kar bataa diya karein,
Chunanchey wo raat ke waqt ghaar (गार) me aa kar mushriko ki saazish ki ittila'a Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ko dey detey the,
Aur Hazrat Asma bint Abu Bakr (rd.) khana wagairah pahuchaya karti thi.
iss tarah teen din yahaan guzrey phir Madinah ki taraf ravaangi huee.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(237)
Comments
Post a Comment