PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 50
🔶 ﷽ 🔶
💐 (0518) 💐
💌💌💌💌💌
23-R.Aakhar-1438
22- January -2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝 NABI. 💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-50🌻
💌💌💌💌💌
Madinah Munawwrah me Hazrat Mus'eib bin Omeir (rd.) ki daawat aur musalmano ki koshish se har ghar me islam aur paigambar e islam ka tazkirah honey laga tha,
Log islam ki khubiyon ko deikh kar imaan me dakhil honey lagey the,
San 13 Nabwi me Mus'eib bin Omeir (rd.) 70 se ziyadah musalmano ki eik jamaat lekar Haj karney ki gharz se Makkah aaey,
iss qafiley me musalmano ke sath qabilah Ous w Khazraj ke mushrikin bhi the,
Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne apney chacha Hazrat Abbas (rd.) ke sath Uqbah naami ghaati me aa kar raat ke waqt musalmano se mulaqaat farmaai.
Hazrat Abbas (rd.) ne musalmano ki jamaat se kaha:
Muhammad (Sallallahu alaihi wa sallam) apni qoum me nihaayat ba'izzat hai,
aur ham uun ki hifaazat ka khyaal kartey hai...
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(229)
Comments
Post a Comment