PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 59

🔶      ﷽      🔶
💐    (0526)     💐
💌💌💌💌💌
02-J.Awwal-1438
31- January -2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝   NABI.   💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-59🌻
💌💌💌💌💌
Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam hijrat ke dowraan Ghaar e Sorr (गारे सौर) me juma, Sanichar aur itwaar teen din rahey,
Phir jab Makkah me shor w hangama me kamee huee toa Madinah ke liye nikalney ka iradah farmaya.
Abdullah bin Arbaqt ko raastey ki rehnumaai me bahot mahaarat thi,
unhein Hazrat Abu Bakr (rd.) ne do sawaari ke sath uujrat (mazduri) par Madinah pahuchaney ke liye pehley hi se taiyaar kar rakha tha,
Jab Abdullah bin Arbaqt sawaari lekar aaey
aur Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki khidmat me peish ki,
Chunanchey Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne eik uuntni qimatan (qimat dekar) pasand farmaai,
iss tarah Huzur Sallallahu alaihi wa sallam aur Hazrat Abu Bakr (rd.) ne hijrat ke safar ka aagaaz kiya...
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(239)

Comments