PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 60
๐ถ ๏ทฝ ๐ถ
๐ (0528) ๐
๐๐๐๐๐
03-J.Awwal-1438
01- February -2017
๐๐๐๐๐
๐ PYAREY ๐
๐ NABI. ๐
(Sallallahu alaihi wa sallam)
๐๐๐๐๐
๐ปMsg-No-60๐ป
๐๐๐๐๐
inn Hazraat ne aam raastey ko chhod kar saahili raasta ikhtiyaar kiya,
isee safar me Aap Sallallahu alaihi wa sallam ka guzar ummey Ma'abad ke kheimey se huwa,
Toa Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne ummey Ma'abad ki ijaazat se uun ki khusk thano (เคฅเคจเฅ) wali kamzor bakri se dudh doha,
Sab ne seir hokar piya,
Aur phir aur dudh doh kar ummey Ma'abad ko dekar safar ka rukh kiya,
Kuffar ne ealaan kiya tha ke jo Muhammad (Sallallahu alaihi wa sallam) ko girftaar kar ke layega uus ko in'aam me 100 uunt diye jaengey,
Chunanchey Suraqah bin Maalik ne uunton ki laalach me ghodey par sawaar hokar pichha kiya,
Jab wo qareeb pahucha toa Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne duaa farmaai,
Jiski wajah se uus ke ghodon ke agley dono peir ghutno tak zameen me dhans gaey,
Wo muaafi maangney laga
aur waada kiya ke agar najaat mili toa kuffar ko Aap ka pichha karney se rok dega.
Phir Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne duaa farmaai toa uus ko najaat mil gaee.
๐น๐น๐น๐น๐น
ISLAMI TARIKH
๐๐๐๐๐
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
โฆ๐ทโฆ
(239)
Comments
Post a Comment