PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 66
🔶 ﷽ 🔶
💐 (0534) 💐
💌💌💌💌💌
09 -J.Awwal -1438
07- February -2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝 NABI. 💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-66🌻
💌💌💌💌💌
isliye shah Tubbagh ne Yasrab me eik makaan Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ke liye taiyaar kar ke eik Yahudi aalim ke hawaaley kar diya
aur vasiyyat ki ke ye makaan Nabi e aakhiruz zamaan (Sallallahu alaihi wa sallam) ki aamad par unhein de dena,
Agar tum zindah na raho toa apni aulaad ko iski vasiyyat kar dena.
Chunanchey Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki uuntni Hazrat Abu Aiyyub Ansaari (rd.) ke makaan par ruki thi.
Hazrat Abu Aiyyub (rd.) uun aalim hi ki aulaad me se the
jinko Shah e Tubbagh ne makaan hawaaley kiya kiya tha,
sath hi Shah e Tubbagh ne eik khat bhi Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ke naam likha tha.
Jis me Aap Sallallahu alaihi wa sallam se muhabbat, imaan laaney aur ziyaarat ke shoq ko zaahir kiya tha.
Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ki hijrat ke baad Yasrab ka naam badal kar
Madinatul Rasul
yaani Rasul ka shahar rakha gaya.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(251)
Comments
Post a Comment