PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 61

πŸ”Ά      ο·½      πŸ”Ά
πŸ’    (0529)     πŸ’
πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ
04-J.Awwal -1438
02- February -2017
πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ
πŸ’œ PYAREY πŸ’œ
πŸ’   NABI.   πŸ’
(Sallallahu alaihi wa sallam)
πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ
🌻Msg-No-61🌻
πŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’ŒπŸ’Œ
Jab Madinah Tayyibah ke logon ko ye maalum huwa ke Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam Makkah se hijrat kar ke Madinah shareef tashreef la rahey hai toa uun ki khushi ki intiha na rahi,
Bachchiyan apney gharon ki chhaton par beith kar Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ke aaney ki khushi me taraaney gaati thi,
Rozana jawaan, badey, budhey shahar se baahar nikal kar Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki tashreef aawri ka intezaar kartey the,
Eik din wo log intezaar kar ke waapas ho hi rahey the ke eik yahudi ki nazar Aap Sallallahu alaihi wa sallam par padi toa wo fowran pukar uutha:
Logon !
Jin ka tumhein shiddat se intezaar tha wo aa gaey.
Bas phir kya tha,
uus ki aawaaz ko suntey hi saarey shahar me khushi ki lehar doud gaee
aur pura shahar
ALLAHU AKBAR
ke naaron se gunj uutha,
aur tamaam musalman istiqbaal ke liye nikal aaey,
Ansaar har taraf se jouk dar jouk aaey,
aur muhabbat w aqidat ke sath salaam arz kartey the,
Khush Aamadid kehtey the,
Taqreeban 500 ansaariyon ne Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ka istiqbaal kiya.
πŸ”ΉπŸ”ΉπŸ”ΉπŸ”ΉπŸ”Ή
ISLAMI TARIKH
πŸ’πŸ’πŸ’πŸ’πŸ’
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
β™¦πŸŒ·β™¦
(241)

Comments