PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 67

🔶      ﷽      🔶
💐    (0535)     💐
💌💌💌💌💌
10 -J.Awwal -1438
08- February -2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝   NABI.   💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-67🌻
💌💌💌💌💌
Hijrat ke baad Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne Madinah Munawwrah me sab se pehley eik masjid ki taamir farmaai,
Jisko aaj Masjid e Nabwi ke naam se jaana jaata he,
iss ke liye wohi jagah muntakhab ki gaee thi, jahaan Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ki uuntni beithi thi,
Ye zameen Banu Najjar ke do bachchon ki thi,
Jisko Aap ne qimat dekar kharid liya tha,
iski taamir me Aap Sallallahu alaihi wa sallam bhi patthar uthatey the.
Sahaba e kiraam josh me ye ash'aar padhtey the,
aur Aap Sallallahu alaihi wa sallam bhi uun ke sath aawaaz milatey aur padhtey
🌿🍂🌿🍂🌿
(TARJUMA)
Aey Allah !
Asal ujrat toa aakhirat ki ujrat he,
Aey Allah !
Ansaar w Muhajirin par raham farma.
🌿🍂🌿🍂🌿
Ye masjid islam ki saadgi ki sachchi tasveer thi.
iss masjid ke 3 darwazey banaey gaey the,
Darwazey ke dono paaey patthar ke aur diwaarein kachchi int aur gaarey ki banaai gaee thi.
Sutun khajoor ke tano (तनो) se
aur chhat khajoor ki shakhon aur patton se taiyaar ki gaee thi,
Qibley ki diwaar se pichhli diwaar tak 100 hath ki lambaai thi.
Ye masjid sirf namaaz adaa karney ke liye hi nahi balki islami taalim ke liye eik darsgaah
aur daawat w tabligh aur saarey masaail ko hal karney ke liye eik markaz bhi tha.
iss ke Imaam Allah ke Nabi Sallallahu alaihi wa sallam
Aur iss ke namaazi sahaba e kiraam jaisi muqaddas hastiyan thi.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(253)

Comments