PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 79

๐Ÿ”ถ      ๏ทฝ      ๐Ÿ”ถ
๐Ÿ’    (0547)     ๐Ÿ’
๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ
22 -J.Awwal -1438
20- February -2017
๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ
๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ
๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’
(Sallallahu alaihi wa sallam)
๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ
๐ŸŒปMsg-No-79๐ŸŒป
๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ
Ghazwa e Badr me 70 mushrikin qaid huey,
Jinko Madinah Munawwrah laya gaya.
Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ne qaidiyon ko sahaaba me taqseem kar diya.
uun ke sath husney sulook aur bhalaai karney ka hukm diya.
iss hukm ko suntey hi sahaaba e kiraam (rd.) ne qaidiyon ke sath aisa sulook kiya ke duniya ki koee qoum iss adl w insaaf aur husney sulook ki misaal peish nahi kar sakti.
Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke chacha Hazrat Abbas jo qaidiyon me the,
uun ke baazu kamar se kasey (เคฌเค‚เคงเฅ‡) huey the,
uun ke karaahney ki wajah se jab Aap Sallallahu alaihi wa sallam bechein (เคฌเฅ‡เคšเฅˆเคจ) ho gaey toa sahaaba ne unki rassi dhili kardi.
uun ki iss riaayat ki wajah se adl w insaaf kartey huey Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ne tamaam qaidiyon ki rassi dhili karaadi.
Sahaaba ke husney sulook ka ye haal tha ke uunho ne apney bachchon ko bhuka rakh kar qaidiyon ko khana khilaya
aur apni zarurat ke bawajood uunko kapdey pehnaey.
Maaldar qaidiyon se 4000 dirham fidiya (เคœเฅเคฐเคฎเคพเคจเคพ) lekar chhod diya gaya.
Aur padhey likhey ghareeb qaidiyon ko 10-10 aadmiyon ko likhna padhna sikhaney ke badley aazaad kar diya gaya.
Aur anpadh ghareeb qaidiyon ko bila kisi muaawzey ke riha kar diya gaya.
๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น
ISLAMI TARIKH
๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
โ™ฆ๐ŸŒทโ™ฆ
(271)

Comments