PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 63
🔶 ﷽ 🔶
💐 (0531) 💐
💌💌💌💌💌
06-J.Awwal -1438
04- February -2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝 NABI. 💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-63🌻
💌💌💌💌💌
Yahi wo masjid he jiski shaan me Quraan Majeed me ye aayat naazil huee
(Aayat ka tarjuma)
iss masjid ki buniyad pehley hi din se parhezgaari par rakhi gaee he,
Wo iss baat ki ziyadah mustahiq he ke Aap Sallallahu alaihi wa sallam iss me namaaz ke liye khadey ho,
iss me aisey log hai jinko safaai bahot pasand he,
aur Allah T'aala paak w saaf rehney walon ko pasand karta he.
Huzur Sallallahu alaihi wa sallam yahaan 14 din qayaam farma kar 12 Rabiul awwal san hijri 1 ko juma ke din rawaana huey,
Bani Saalim ke gharon tak pahuchey the ke Juma ka waqt ho gaya,
Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne juma ki namaaz adaa farmaai aur khutba diya.
Ye islam me juma ki pehli namaaz thi,
Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke sath taqreeban 100 aadmi namaaz me sharik the.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(243)
Comments
Post a Comment