PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 68
🔶 ﷽ 🔶
💐 (0536) 💐
💌💌💌💌💌
11 -J.Awwal -1438
09- February -2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝 NABI. 💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-68🌻
💌💌💌💌💌
Hazrat ibney Umar (rd.) farmatey hai ke Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ne jamaat ki namaaz ke liye musalmano ko jamaa karney ka mashwarah kiya
toa sahaba e kiraam (rd.) ne mukhtalif raai peish ki,
Kisi ne yahud ki tarah buk (ब्युगल) bajaaney aur kisi ne isaaiyon ki tarah naakus (घंटी) bajaaney ka mashwarah diya,
Lekin Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne pasand nahi farmaya.
Balki sochney ka mouqa diya,
isee raat Hazrat Umar (rd.) ne khwaab me azaan suni,
aur eik sahaabi Hazrat Abdullah bin Zaid (rd.) ne bhi khwaab me deikha ke eik shakhs azaan ke kalimaat keh raha he,
unho ne uun kalimaat ko yaad kar liya,
aur aankh khultey hi Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ke paas tahajjud ke waqt pahuchey,
aur khwaab keh sunaya.
Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne Hazrat Bilal (rd.) ko uun kalimaat ke sath Fajr ki azaan deney ka hukm farmaya.
Azaan suntey hi Hazrat Umar (rd.) doudey (दौड़े) huey aaey aur arz kiya:
Mainey bhi yahi kalimaat khwaab me suney the.
iss ke baad se hi azaan deney ka silsilah shuru ho gaya.
Islam me sab se pehley Muazzin Hazrat Bilal (rd.) huey.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(255)
Comments
Post a Comment