PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 71
🔶 ﷽ 🔶
💐 (0539) 💐
💌💌💌💌💌
14 -J.Awwal -1438
12- February -2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝 NABI. 💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-71🌻
💌💌💌💌💌
Jab Masjid e Nabwi ki taamir huee toa uus ke eik taraf chabutarah banaya gaya tha,
Jisko Suffah kaha jata tha.
Ye jagah islami taalim w tarbiyat aur tabligh w hidayat ka markaz thi.
Jo sahaaba (rd.) yahaan raha kartey the
uun ko Ashaab e Suffah kaha jata he.
inn logon ne apni zindagi ko Allah ki ibaadat, Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ki khidmat aur Quraan ki taalim haasil karney ke liye waqaf kar diya tha.
inka na koee ghar tha na koee karobar.
Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke paas kabhi khana aata toa uun logon ke paas bhej deitey the,
aur kabhi khud bhi uun ke sath beith kar khaya kartey the.
uun ki taalim ke liye padhaaney waley muqarrir the
jinsey wo log Quraan e kareem sikhtey aur ilmey deen haasil kiya kartey the
isee liye uun me se aksar sahaaba Quraan ke behtareen qaari the.
Agar kaheen islam ki tabligh aur taalim w tarbiyat ke liye kisi ko bhejney ki zarurat peish aati toa uunhi sahaaba me se kisi ko bheja jata tha.
Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ke jalilul qadr sahaabi aur hadees ko sab se ziyadah riwaayat karney waley Hazrat Abu Hurairah (rd.) bhi inhi Ashaab e Suffah me the.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(259)
Comments
Post a Comment