PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 117

🔶      ﷽      🔶
💐    (0585)     💐
💌💌💌💌💌
02 - Rajab  - 1438
01 -  April  -  2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝   NABI.   💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-117🌻
💌💌💌💌💌
Khaibar Madinah se shimaal ki jaanib 100 mile ki duri par he.
Yahudi Madinah se jila watan hokar yahaan musalmano ke khilaaf sazish karney lagey.
uunho ne Madinah par hamley ke liye Banu Ghatfaan aur dusrey qabaail ko Madinah ki aadhi paidavaar deney ki laalach me apney sath mila liya tha.
Jab Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ko iski ittila'a mili
Toa Aap Sallallahu alaihi wa sallam san 7 hijri ke shuru me 1600 sahaaba ko lekar Khaibar ki taraf rawaana ho gaey
aur saamney wo log taqreeban 25000 moujood the
3 roz baad eik aisey maidaan me padaav dala
jo Khaibar aur Ghatfaan ke darmiyaan tha
Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne qillo ko fatah karna shuru kar diya
Qamus naami qiley ka sardaar Arab ka mash'hur pahelvaan jiska naam Marhab tha
Jo 1000 sheh sawaar par bhaari samjha jata tha
20 din jang jaari rahney ke ba'wajud qilla fatah nahi huwa
Toa Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya:
kal mai jhanda. aisey shakhs ko dunga
Jisko Allah aur uus ke Rasul mahboob rakhtey hai
aur jiskey hath par fatah hogi.
Dusrey roz Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne Hazrat Ali (rd.) ko jhanda diya
Jab Hazrat Ali (rd.) lashkar ko lekar qiley ke darwazey par pahuchey toa Marhab ne Hazrat Ali (rd.) ko deikh kar ladney ki daawat di
Toa pehley hi vaar me uunho ne Marhab ko qatl kar diya.
Phir yahudiyon ne nakami ka munh deikh kar Khaibar ki aadhi paidavaar par Huzur Sallallahu alaihi wa sallam se sulah karli.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(325)

Comments