PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 93

๐Ÿ”ถ      ๏ทฝ      ๐Ÿ”ถ
๐Ÿ’    (0561)     ๐Ÿ’
๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ
06 -J.Aakhir -1438
06 -  March - 2017
๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ
๐Ÿ’œ PYAREY ๐Ÿ’œ
๐Ÿ’   NABI.   ๐Ÿ’
(Sallallahu alaihi wa sallam)
๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ
๐ŸŒปMsg-No-93๐ŸŒป
๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ๐Ÿ’Œ
Qureish aur yahood ne Madinah Munawwrah aur Makkah Mukarramah ke darmiyaan tamaam qabaail ko musalmano ke khilaaf dil khol kar bhadkaya.
Jis ke natijey me bahot se qabaail musalmano par hamla karney ki taiyaari me masruf ho gaey.
Jamadil Awwal san hijri 4 me qabilah Ghatfaan ki shaakh Banu Maharib aur Banu Sa'alba ne Madinah par hamla karney ke liye eik mushtark (เคธเค‚เคฏเฅเค•เคค) lashkar taiyaar kiya.
Jab Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ko iski ittila'a mili toa 400 jaanisaar sahaaba ka lashkar lekar muqabley ke liye nikley.
iss ghazwey me sahaaba e kiraam ke paas sawaariyan bahot km thi.
Paidal chalney se zakhmi honey ke sabab pairon par pattiyan bandhni padi.
isliye iska naam Zaatur Riqa'a (pattiyon wala) Ghazwa pad gaya.
Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ne eik pahaad ke daaman me qayaam farmaya.
Dushman ki fouj musalmano ki quwwat w taaqat ko deikh kar bhaag gaee.
Aap Sallallahu alaihi wa sallam aur sahaaba e kiraam bagair ladey maal e ghanimat ke sath Madinah Munawwrah waapas aa gaey.
๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น๐Ÿ”น
ISLAMI TARIKH
๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’๐Ÿ’
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
โ™ฆ๐ŸŒทโ™ฆ
(285)

Comments