PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 108

🔶      ﷽      🔶
💐    (0576)     💐
💌💌💌💌💌
21 -J.Aakhir -1438
21 -  March - 2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝   NABI.   💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-108🌻
💌💌💌💌💌
3 roz Hudeibiyah me qayaam kar ke Waapasi ke waqt Huzur Sallallahu alaihi wa sallam par surah Fatah ki ye aayat naazil huee.

Tarjuma

Hamney Aap Sallallahu alaihi wa sallam ko eik khuli huee fatah ataa farmaai.

Hazrat Umar (rd.) jo iss muhaaidey ki sharton ko apney liye beizzati ka sabab samajh rahey the
inn aayaton ke naazil honey ke baad puri tarah mutmaeen ho gaey
iss muhaaidey ki wajah se kuffar e Makkah karobar ke liye Madinah aatey jatey toa wo musalmano ke akhlaaq neki ikhlaas w mehmaan nawaazi se bahot ziyadah muta'assir hotey.
iss husney suluk ki wajah se Hazrat Khalid bin Walid (rd.) aur Amr bin Aas (rd.) ke sath beshumar logon ne sulah Hudeibiyah aur fatah Makkah ke dowraan islam qubul kar liya.
Algharz iss muhaaidey se islam ke aagey badhney me zabardast kamyabi haasil huee.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(315)

Comments