PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 97
🔶 ﷽ 🔶
💐 (0565) 💐
💌💌💌💌💌
10 -J.Aakhir -1438
10 - March - 2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝 NABI. 💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-97🌻
💌💌💌💌💌
Sahaaba e kiraam (rd.) ne sakht sardi, besaro samani (बेसरो सामानि) aur faqa kashi ke bawajood puri himmat w istiqaamat ke sath khandaq khodney ka kaam anjaam diya.
Hazrat Abu Talha (rd.) ne bhuk ki shiddat se apna peit khol kar dikhaya,
jis par eik patthar bandha huwa tha.
Ye deikh kar Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne apney peit mubarak se kapda hataya
toa sahaaba ne deikha uus par do patthar bandhey huey the.
Eik din Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne subah saverey sakht sardi aur bhuk pyaas ki haalat me sahaaba ko khandaq khodtey deikh kar ye duaa di,
(Tarjuma):
Aey Allah !
Asal zindagi toa aakhirat ki zindagi he
Tu Ansaar w Muhajirin ki maghfirat farma.
Ye sunkar sahaaba josh e muhabbat me kehney lagey
(Tarjuma):
Hamney martey dam tak Muhammad Sallallahu alaihi wa sallam ke hath par jihaad ki bei'at ki.
Jab sahaaba e kiraam ko koi rukaawat peish aati
toa Aap Sallallahu alaihi wa sallam paani me apna luaab mubarak daal kar Allah se duaa farmatey aur paani chhidak deitey
toa wo chattan reit ke tudey ki tarah narm ho jati.
Gharz dushman ke aaney se pehley ehley Madinah ne apni hifaazat ka intizaam mukammil kar liya.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(299)
Comments
Post a Comment