Kuffaar ke Mazhabi tehwaaron mein shirkat

📮📬📮

        ┄─━━━━◇━━━━─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim​*
        ┄─━━━━◇━━━━─┄

*➠ ​Kuffaar ke Mazhabi tehwaaron mein shirkat*

​☞ Kuffaar ke mazhabi tehwaar mushrikaana aqeedon se bhare hote hain jaise Ganesh Chaturthi, Dasehra, Murti Pooja, *Holi,* Diwali aur Christmas wagaira in mein shirkat karna haraam hai, kuffaar ke mazhabi tehwaaron mein shareek hone ki chand soortein yeh hain:

(1) In tehwaaron ka manaana.
(2) Tehwaar manaane mein un ke saath shareek hona.
(3) Mazhabi tehwaaron mein un ki madad karna.
(4) Mazhabi tehwaaron mein tohfa ya Chanda wagaira dena.
(5) Mazhabi tehwaaron ki khushi mein apne ghar ke liye cheezein khareedna aur khaane pakaane ka ehtemaam karna.
(6) Mazhabi juloos mein shareek hona.

​☞ Agar koi musalmaan in mein se kisi bhi baat ko achchha jaan kar karega, to us ka imaan jaata rahega aur agar gunah jaan kar karega, to sakht gunahgaar hoga.

​☞ Ham tamaam musalmaan kuffaar ke mazhabi tehwaaron ko na manaate hain aur na un mein shareek hote hain.

📚[Sunane Kubra Baihaqi: 19333 ; Al-Bahrur Raaiq: 5/133 ; Al-Irshaad Ila Saheehil Eteqaad: 1/290]

   ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book
    *​👥 Plz Forward To Others 👥​*
☆〰☆☆〰〰〰〰☆☆〰☆

Comments