PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 110

🔶      ﷽      🔶
💐    (0578)     💐
💌💌💌💌💌
23 -J.Aakhir -1438
23 -  March - 2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝   NABI.   💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-110🌻
💌💌💌💌💌
Aap Sallallahu alaihi wa sallam ke jaanisaar sahaaba ye hukm suntey hi fowran ita'at ke liye taiyaar ho gaey
aur b'tor mashwarah arz kiya:
Ya Rasulallah !
Ye dunyawi baadshah bagair muhar ke kisi khat ko qaabil e eatebaar nahi samajhtey
aur na usey padhney ki zehmat gawara kartey hai
isliye muhar laga kar khutoot rawaana kiye jaein.
Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne sahaaba ke mashwarey se muhar laganey ke liye chaandi ki anguthi banaai
Jis par
MUHAMMAD RASULULLAH
likha huwa tha.
iskey baad Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ne baadshahon ke naam muhar laga kar da'awati khutoot bhejney ka silsilah shuru farmaya.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(317)

Comments