PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 94

🔶      ﷽      🔶
💐    (0562)     💐
💌💌💌💌💌
07 -J.Aakhir -1438
07 -  March - 2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝   NABI.   💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-94🌻
💌💌💌💌💌
Abu Sufiyan ne jang e Ohad se Waapasi ke waqt ealaan kiya tha ke agley saal hamaara tumhara muqabla Badr me hoga.
Hasbey vaadah Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ne Hazrat Abdullah bin Rawaaha (rd.) ko Madinah ka ameer banaya
aur Shaban san hijri 4 me 1500 Sahaaba e kiraam ko lekar Badr ke liye rawaana huey.
Musalmano ki peish qadmi ki khabar sunkar Abu Sufiyan na chahtey huey bhi 2000 ka lashkar lekar majburan Makkah se rawaana huwa.
Lekin jab maqaam Zahraan pahuch kar musalmano ke lashkar ki ta'adad maalum huee toa usey muqabla karney ki himmat na huee
aur iss bahaney se waapas lowt gaya ke iss saal Makkah me qahatsaali (दुकाल) he
Wo zarurat ke mutaabiq jangi hathiyaar aur saman wo apney sath nahi la sakey.
Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam 8 roz tak Badr me uun ka intizaar kartey rahey.
iss dowraan sahaaba Badr ki mandi (Market) me tijarat kar ke nafa'a uthatey rahey.
Aur muqarrarah waqt guzarney par aafiyat ke sath Madinah waapas aa gaey.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(291)

Comments