PYAREY NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PART 90
🔶 ﷽ 🔶
💐 (0558) 💐
💌💌💌💌💌
03 -J.Aakhir -1438
03 - March - 2017
💌💌💌💌💌
💜 PYAREY 💜
💝 NABI. 💝
(Sallallahu alaihi wa sallam)
💌💌💌💌💌
🌻Msg-No-90🌻
💌💌💌💌💌
Ghazwa e Ohad ke baad Abu Sufiyan apna lashkar lekar Makkah jatey huey maqaam e Ruha me pahuch kar kehney laga:
Hamein mukammil tor par fatah haasil karna chahiye toa (नाउजुबिल्लाह) Muhammad (Sallallahu alaihi wa sallam) ko qatl kyun na karun ?
Chalo waapas ja kar musalmano ko safaa e hasti se mita kar aaein.
Jab Rasulullah Sallallahu alaihi wa sallam ko iski ittila'a mili toa Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne sirf uun musalmano ko uun ka pichha karney ka hukm diya jo jang e Ohad me shareek the.
Musalman zakhmi aur khasta haal honey ke bawajood fowran taiyaar ho gaey
Aur Madinah se 8 meel dur Hamra ul asad maqaam par padaav dala.
Jab Abu Sufiyan ko inki bahaduri aur shuja'at ka pata chala ke Muhammad (Sallallahu alaihi wa sallam) phir apney sathiyon ko lekar muqabley ke liye pichha kar rahey hai toa uus par khouf taari ho gaya aur uus ke sab lashkar ki himmat past (पस्त) ho gaee.
Bil'aakhir Abu Sufiyan apni fouj lekar Makkah ki taraf faraar ho gaya.
Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ne wahaan 3 roz qayaam farmaya aur itminaan ke sath Madinah waapas aa gaey.
🔹🔹🔹🔹🔹
ISLAMI TARIKH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH
♦🌷♦
(281)
Comments
Post a Comment